This was written by my friend Akhilesh Shukla, when he lived with a few colleagues in Kolkata, circa 1999-2000. A real gem of an expression, if you ask me!
N' joy!
===================================
Main Aur mere roommates
Aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta,tum bathrooom dhote
Main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
Aur us baat pe haste....
Main aur mere roommates ,
Aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
Ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
Ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ka naya design
Ya doodh, beer se dhuli hui hain
Yeh cellphone hai ya dhakkan,
Sleeping bag ya kisika aanchal,
Ye airfreshner ka naya flavour hai,
Ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
Ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machhar nahi hai, kaheen nahi hai
Magar uska dil hai ke kah raha hai
Machhar yaheen hai, yaheen kaheen hai !
Taund (pot-belly) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
Dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko toh bahut kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
Ye Carpet jo jine ko joojh raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hain - roommates hain - roommates hain
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi......
Sab ko bata dain.........
Main Aur mere roommates
Aksar Yeh Baatain Karte Hain
===================================