Saturday, August 26, 2006

An "ode" to RM Singh

RM Singh, ex-principal of my alma mater, Shaheed Sukhdev College of Business Studies, was a strange man. He ruled with an iron fist and was terror-personified in the college. Arbitrariness was his biggest forte!

He has resigned and there is a palpable sigh of relief and a wave of jubiliation amongst the students/alumni. The man, who single-handedly damaged the college is out now! The college was known for its students, its activities and was considered the best college in Asia for an undergraduate course in management. While the reputation is still intact, it has not the desired progress. Hopefully with his resignation/ouster, things will limp back to normal.

I recently chanced upon a poem, an "ode" to him! Have a look. Thanks to Orkut for this!

Un pake hue sangemarmari baalon mein,
Chamchamati si sunehri maang…
Bas wahi kahin se shuru hota tha,
Hamaare us azeez ka rubaab…

6 foot 4 inch ki us shaksiyat mein bada hi dum tha
Na jaane kyun unhe, bachchon se pyaar thoda kam tha
Kalaf dhula safari suit hafte dar hafte chamakta tha…
Aur usi ki jeb mein kahin, kisi bachche ka shani bhatakta tha

Seena wo taankar, jab college mein chalta tha
Kasam Khuda ki, ek ek ka susu nikalta tha.
Apni char deewari ke dhooein mein, jab tak nahi wo kho jaata tha…
Koi mai ka laal tab tak, canteen jaane ki na soch paata tha.

Vidambana badi ajeeb thi yeh, pal pal main gaur karta tha…
Us shaks nahi….. uski shaksiyat se main darta tha.
PRINCIPAL…aisi takhti unke office ke bahar latakti thi…
Jaane par kareeb, bachche to kya, teacher ki bhi phat ti thi.

Yaad hai mujhe kaise unhone 'Golu' ko first year mein rulaya tha
'Nikaal dunga tujhe'…aisa bol, Dilli Police ki tarah dhamkaya tha
Apne saathiyon ke dukhdon se hamesha main anjaan tha
Ek din aisa bhi aya jab mere paas bhi fine bharne ka farmaan tha.

Kabhi Teacher's Day, kabhi farewell…na jaane kahaan kahaan se log aate the,
Unke bhashan se oob, table fan ki hawa mein hum so jaate the.
Har farewell pe sochte the naachenge gaayenge,
Pata nahi hota tha ki 'sahab' ke hukum se guards humein hi bhagaayenge.

Khair…mausam guzre, zamaane guzre,
Kisse naye kuchh puraane guzre.
Koste hain aaj bhi, kabhi waqt ko, kabhi kismat ko wo…
Unke gusse ki aag se jo chand bewakoof ashiq - deewaane guzre.

Na jaane kahaan se aaj hawa ne, paigaam ye laakar diya…
Ki CBS ne unko aakhir 'ALVIDA' hai kar diya.
Ro rahe hain fachche aaj…aansoo khushi ke hi honge…
Main soch raha hoon yeh hua bhi tab…Jab Ghalib CBS se nikal liya.

Koi chaahe kuchh bhi keh le…Hans le jee bhar ke ya ro le
Main daave se keh sakta hoon…
Humko bhale kabhi na samajh paaye hon wo par…
Main aaj bhi unki izzat karta hoon.

To Sir With Love…
KP

1 comment:

  1. excellent poem!!!! and as said before....aapki maastery hai interesting cheezein dhoondne mein :)

    ReplyDelete